Top Song Lyrics Find Here

parichay lyrics – ikka | amit bhadana

parichay lyrics – ikka | amit bhadana lyrics

Poster parichay lyrics – ikka | amit bhadana

parichay lyrics – ikka | amit bhadana

Details
Singer Ikka, Amit Bhadana
Language Hindi
Poster parichay lyrics – ikka | amit bhadana
play
Lyrics

jawala jaga andar kis baat se hai tang
duniya se nahi khud se hai teri jung

byg byrd on the beat..

beemar ho gaya tha laga maut thhi kareeb
wo daur tha kuchh aisa wo waqt tha azeeb
jab ye laga tha lagne ki khota hai naseeb
tab mila youtube aur khud mein believe

middle class family par soch rakhi high
aaj bhi hai yaad chacha ki sutai
pitaji ka gussa uske piche ki duaein
aaj bhi ho takleef toh maa hi yaad aaye

haan mujhse pucho kise kehte hain rona
haan mujhse pucho kya hota hai khona
99 mein kho diya pitaji ko maine
mujhse pucho hota kya hai pitaji ka hona

mere chacha ji aur daadi bhagwan ke do roop
chaav mein hai rakha na lagne di hai dhoop
paal ke bada kiya bada diya naseeb hain
naseeb wale hote jo apno ke kareeb hain

jo thi pehle nafratein jo thi pehle galiyan
aaj wo hain tareefein aaj wahi taliyan
maine ki hai mehnat jo dekha maine paa liya
youtube ke through naya parivar hai bana liya

choti si umar mein ek chotu mera yaar tha
bat ball khelte wahi mera pyar tha
ghar ki garibi ki wajah se sab chhoda
aaj bhi hai yaad chacha ne jab balla mera toda

khel kud chod zimmedariya uthai
sapnon ko chod karne laga main padhai
tha aata taras dekh maa ki tanhai
behan baithi ghar pe jiski sunni thi sehnai
school mein tha maskhara sabko tha hasata
band kamre mein roya na kisi ko jatata
adhyapak the bolte ki isko na padhana
pankaj-kaushal bole naam hai
haan amit bhadana!

18 ka ladka college mein jaake bhatka
chakachaundh mein tha kho gaya
jo na tha main wo ho gaya
the jinke dil tode unse maafi hath jod ke
jinhone diye dhokhe unhe ram ram bol ke

jo thi pehle nafratein jo thi pehle galiyan
aaj wo hain tareefein aaj wahi taliyan
maine ki hai mehnat jo dekha maine paa liya
youtube ke through naya parivar hai bana liya

padhai mein na mann kuch bada tha karna
jeb khali roti aakhe aur akela kamra
aankhon mein le aansu hasna maine seekha
hasne ne sikhaya mujhe jeene ka tareeka

angrezi gaano pe kiye desi gaane mix
dubbing sun logo ka pyar hua fix
copyright pad gaya udd gaya content
toot gaya dil bikhre the saare sentiment
phir main khud video mein aaya
content fresh tha maine banaya
desi content jo desh se juda
desi dekh desi sabka banne laga

party mein mile kuchh bade youtuber
udaya jinhone mera munh par mazaak
gussa main pee gaya wapas wahi gaya
jahan tha avinash aur rohit ka sath
maine kaam se diya naam walon ko jawab
sabke muhh band chukta hisaab
11 million ka tay kiya faansla
mere fans meri jaan
mere fans mera haunsla

fanfest jinke liye chhoda unhi ne dil toda
ki dagabaazi mujhse mujhse andar se jhinjhoda
fanfest pe jaunga gale fans ko lagaunga
pichhle saal nahi aaya maafi main chahunga
jo mehnat se kamaye un fans pe hai naaz
desh ki awaaz 4-5 dost khaas
dost yaar kam par jitne lajawab
poore kiye khud ke dum pe
jitne dekhe maine khwaab

kuch logo ka ye bhi kehna hai
na toh ye party karta hai
na hi ye industry ke logo se milta hai
main batata hu

iss industry culture kuch aisa hai
ye ugte suraj ko salaam karte hai
jab mera bura waqt mere kaam ke liye tha
to mera achcha waqt bhi kaam ke liye hi hoga

byg byrd on the beat..

jo thi pehle nafratein jo thi pehle galiyan
aaj wo hain tareefein aaj wahi taliyan
maine ki hai mehnat jo dekha maine paa liya
youtube ke through naya parivar hai bana liya

baccho ke sath mummy papa ko hasaya
gandh nahi content parivarik banaya
phir bhi kaafi log bas gandh hi sarahate hain
mere saaf content aur views jawab de jaate hain
instagram admin mujhe rokna ye chahte
par ye log meri soch kabhi rok nahi payenge
jitna bhi laga lo zor utna laga lo
par ye ugte suraj ko kabhi rok nahi payenge
fb, insta admin ka bas kam
kar na burayi chand rupaye lekar
na deen na imaan ye wo jo ghumnaam
phir kya ukhad liya itne paise dekar
ha ha ha

mera vision clear inka hai blur blur
barsaati medhak saare kare tar tar
bhole bhale bacche bigaadte ho tum
jaldi se utro ye bithayenge na sar par

kuch anpadho ka kehna amit hai ganwar
kyunki apni desi boli ka kiya hai prachaar
jo kiya hai maine uska aadha bhi tu kar
m.a law ki degree’aan sadd rahi hai ghar par
angrezi aati achche se tujhe sikha bhi du
hindustan ki main mitti tabhi to hindi hu
jo bhasha apni bolne mein sharmate hai
wo wahin hain thookte jahan wo khate hai

kapde se jaati class nahi dekhi
maine dali dariya mein karke kaafi neki
ek hi hai aur ek hi rahega
ye talent pe yakeen na ki koyi shekhi
youtube aur viewers main aapka abhaari hu
pyar aapka tabhi sab pe bhari hu
na main fake na fenku bas itna farak
maa ki aankhon ka hoon taara
jo raha hai chamak

jo thi pehle nafratein jo thi pehle galiyan
aaj wo hain tareefein aaj wahi taliyan
maine ki hai mehnat jo dekha maine paa liya
youtube ke through naya parivar hai bana liya

pitaji aaj aap jahan par bhi ho
mujhe pata hai aap mujhe dekh rehe ho
tabhi aapka ashirbad aur pyar mere sath hai
mummy aap mere sar ka taj hai
dadi aur chacha ko bhi aaj mujh par naaj hai
doston tumhari bhaabhi bhi mere paas hai

ye gaana un sabhi ke liye
jinhone mujhe bahut kuch sikhaya
aur aaj kya se kya banaya
mere sabhi chahne walo ko
dil se shukriya aur pyar
na chahne walo ko bhi
bahut sara pyar

aapka apna amit bhadana!

You May Also Like (Similar)

Advertisement
Find Song Lyrics
Note: From this website you will get free lyrics facility. The files are not hosted by us.
Rules: videos/lyrics will be for personal use only / you cannot redistribute them / delete them from hard disk after 24 hours (if you do not agree, close this window)
Evergreen Hindi, Bhojpuri Song Lyrics