Singer | Anwar |
Genre | Love |
Language | Hindi |
Album | Parbat Ke Us Paar |
maine zameen par chand ko dekha
chand ko dekha yaaro haye
maine zameen par chand ko dekha
chand ko dekha yaaro
pagal kah lo yaa deewana
kuch bhi mujhko pyaro
chand ke sar par saza tha aanchal
chand ke pairo mein thi paayal
aankho mein tha kajal aise
chandani raat mein sawan jaise
aisa manzar
aisa manzar dekha hoga
tumne kaha nazaro haye
maine zameen par chand ko dekha
chand ko dekha yaaro
jhilmil taaron jaisa chahera
sharm haya se rang sunehra
zikra karu kya uski chhab kaa
chata phirta noor thaa rab ka
phool bikheru haaye
phool bikheru waadi waadi
sajda karoon baharo
maine zameen par chand ko dekha
chand ko dekha yaaro
ek rupehli khushboo jaisi
kudarat ka ek jaadu jaisi
jab se dekha hosh nahin hain
jism kahin hain jaan kahin hain
main jootha hoon haaye
main jootha hoon ya sacha hoon
tum hi kahon kinaaro
maine zameen par chand ko dekha
chand ko dekha yaaro
pagal kah lo yaa deewana
kuch bhi mujhko pyaro.