Top Song Lyrics Find Here

ज़िन्दगी के सफ़र में गुज़र जाते हैं | zindagi ke safar mein lyrics in hindi | kishore kumar – rajesh khanna

ज़िन्दगी के सफ़र में गुज़र जाते हैं | zindagi ke safar mein lyrics in hindi | kishore kumar – rajesh khanna lyrics

Poster ज़िन्दगी के सफ़र में गुज़र जाते हैं | zindagi ke safar mein lyrics in hindi | kishore kumar – rajesh khanna

ज़िन्दगी के सफ़र में गुज़र जाते हैं | zindagi ke safar mein lyrics in hindi | kishore kumar – rajesh khanna

Details
Singer Kishore Kumar
Language Bollywood
Poster ज़िन्दगी के सफ़र में गुज़र जाते हैं | zindagi ke safar mein lyrics in hindi | kishore kumar – rajesh khanna
play
Lyrics

Zindagi Ke Safar Mein Lyrics in Hindi

ज़िन्दगी के सफ़र में गुज़र जाते हैं जो मकाम
वो फिर नहीं आते, वो फिर नहीं आते
ज़िन्दगी के सफ़र में…

फूल खिलते हैं, लोग मिलते हैं
फूल खिलते हैं, लोग मिलते हैं मगर
पतझड़ में जो फूल मुरझा जाते हैं
वो बहारों के आने से खिलते नहीं
कुछ लोग एक रोज़ जो बिछड़ जाते हैं
वो हजारों के आने से मिलते नहीं
उम्र भर चाहे कोई पुकारा करे उनका नाम
वो फिर नहीं आते…

आँख धोखा है, क्या भरोसा है
आँख धोखा है, क्या भरोसा है सुनो
दोस्तों शक दोस्ती का दुश्मन है
अपने दिल में इसे घर बनाने न दो
कल तड़पना पड़े याद में जिनकी
रोक लो रूठ कर उनको जाने न दो
बाद में प्यार के चाहे भेजो हजारों सलाम
वो फिर नहीं आते…

सुबहो आती है, रात जाती है
सुबहो आती है, रात जाती है यूँ ही
वक़्त चलता ही रहता है रुकता नहीं
एक पल में ये आगे निकल जाता है
आदमी ठीक से देख पाता नहीं
और परदे पे मंज़र बदल जाता है
एक बार चले जाते हैं जो दिन-रात, सुबहो-शाम
वो फिर नहीं आते…


Zindagi Ke Safar Mein Lyrics in English –

Zindagi ke safar mein guzar jaate hain jo makaam
Woh phir nahin aate. woh phir nahin aate

Zindagi ke safar mein guzar jaate hain jo makaam
Woh phir nahin aate, woh phir nahin aate…

Phool khilte hain, log milte hain
Phool khilte hain, log milte hain magar
Patjhad mein jo phool murjha jaate hain
Woh bahaaron ke aane se khilte nahi
Kuchh log ek roz jo bichhad jaate hain
Woh hazaaron ke aane se milte nahi
Umra bhar chaahe koi pukara kare unaka naam
Woh phir nahi aate, woh phir nahi aate….

Aankh dhokha hai, kya bharosa hai
Aankh dhokha hai, kya bharosa hai suno
Doston shaq dosti ka dushman hai
Apne dil mein ise ghar banaane na do
Kal tadapna pade yaad mein jinki
Rok lo rooth kar unko jaane na do
Baad mein pyar ke chaahe bhejo hazaron salaam
Woh phir nahi aate, woh phir nahi aate….

Subah aati hai, raat jaati hai
Subah aati hai, raat jaati hai yun hi
Waqt chalta hi rehta hai rukta nahin
Ek pal mein yeh aage nikal jata hai
Aadmi theek se dekh pata nahin
Aur parde pe manzar badal jata hai
Ek baar chale jaate hain jo din-raat, subah-shaam
Woh woh phir nahi aate, woh phir nahi aate..

Zindagi ke safar mein guzar jaate hain jo makaam
Woh phir nahin aate. woh phir nahin aate….

Lyricist:
Anand Bakshi
You May Also Like (Similar)

Advertisement
Find Song Lyrics
Note: From this website you will get free lyrics facility. The files are not hosted by us.
Rules: videos/lyrics will be for personal use only / you cannot redistribute them / delete them from hard disk after 24 hours (if you do not agree, close this window)
Evergreen Hindi, Bhojpuri Song Lyrics