Language | Hindi |
yeh pal guzar gayaa tere binaa
ik aur din dhalaa tere binaa
aage nikal gayaa rastaa meraa
jab dil thehar gayaa tere binaa
ab hota hai savera
shaam se bhi saanwla
tujhse yaadon ke alaawa
kuch bhi toh naa milaa
tere saath hi neendein bhi chali gayi
mujhse milne phir kabhi tu naa aaya
khaali haath hi barsaatein chali gayi
kitni baatein ho gayi
tu na aaya… tu naa aaya
tu naa aaya
main… par teri khabar naa aayi
shaam ke parinde laut aaye
magar mere aangan mein aayi tanhaai
saath chalna tha jee bhar
tu chhod aaya udhar
ab to qissa ho gaya hai
milna tera mera
kya jeene ka matlab hi
saans lena reh gaya
tere saath hi neendein bhi chali gayi
mujhse milne phir kabhi tu naa aaya
khaali haath hi barsaatein chali gayi
kitni baatein ho gayi, tu na aaya
tu naa aaya… tu naa aaya
tu naa aaya… tu naa aaya
jab tu paas tha mere
paas tha yeh jahaan
tere bin jo hai mera
mere kis kaam ka
kaise bhool main gayi
saath tu bhi tha mere
kyun maine hi le liye liya
do dilon ka faisla
tu na aaya…