Singer | Ajey Nagar (carryminati) |
Language | Hindi |
yaar kal na mujhe ek
bahut hi ajeeb sapna aaya
kya?
mere haath mein bandook thi
aur koi mere saamne
haath upar karke khada tha
trigger ke dabte gayi jaan saari
sharp shooter mere pade tumpe bhari
chunt banti hai ye kaali duniya saali
kaale paison see khareede kaali gaadi
ab khatam karte hai dalali ki bimari
haste haste ghao dete hai ye atyachari
brham mein rehte kehte khud ko brhamchari
kaale shabd vaale brahmchari lete meri jankari
mera pair jaise angad bahot bhari
race mein dodte saare mere hee ghode hai
system ne mere aage hath jode hai
bhed bhav karne wale saare gore hai
desh chalane vaale bhi to saare so re hai
mehnat karne vaale karte hai hukumat
4 paise kya kamaye saale jhul mat
chate kitne khaye bachpan mein bhul mat
mujhe dekh ke salaam kar ghoor mat
20 murder ek saal mein
kayoken meri jaat mein
mei darta apne baap se
mei chalta apni rakh pe
mein kehta cheer phad ke
jo ukhadna ukhadle
underground mein na janta
mujhe koi na pehechanta
mein shaktiyan mein na manta
mein chele nhi palta
mein khata na udhar ke
mein jhute vote nahi dalta
dalta
ginte ginte sike pure hue saw
ghisad ghisad ke sharp hue mere claw
gaate gaate aawaz hui meri raw
upar badti zindagi mein na koi flow
ye gaana nhi hona chahiye flop
ek din mein na koi pohoche on top
lagjaye inke mooh pe full stop
jab mera bhai kare beat drop
humari mushkilo ke dhaage sulajhte nahi
humare sapne ke baadal kyon baraste nahi
samjhdaro mein se bhi koi samjhta nahi
peechhe se aloo dalne pe sona nikalta nahi
dekh ke undekha karna kaam inka roz ka
kya badiya fayeda uthaya hai dono aankho ka
jaanta ka paisa churake kabtak tu bhagega
barbaad hua pura sansar ab to manja
khaal chahe tum kitni bhi ukhadlo
chahe kitno ko bhi tum udhar do
bharne vaale bharte rahemge saari zindagi
inki zindagi ko bh thoda savaae do
hum se bhi to kabhi thoda sa gyaan lo
meri baato par bhi tum thoda sa dhyaan do
dhone se nhi jaati hai ye man ki gandagi
pehle apni aadato ko tum sudhar lo
apni aadato ko tum sudhar lo
apni aadato ko tum sudhar lo
apni aadato ko tum sudhar lo