Singer | Sunidhi Chauhan, Shreya Ghoshal |
Language | Bollywood |
Album | Syeraa Narasimha Reddy |
pavitra bhoomi bharti ki maati pe tu janma
roop hai tu narasingh ka
charitra tera tarikhe bhi garv se likhengi
chamakta rahe tu surya sa
mrityu ne hi tujhko lambi umar hai de di
sada ko hai amar, teri ye katha
aasmaan bhi jhuk ke pranaam tujhko karta
tu aaya hai yahan nayi si subah sa
ho sye raa, ho sye raa, ho sye raa
sawera teri saanson mein basa
ho sye raa, ho sye raa, ho sye raa
andhera tere aane se hata
ho ho sye raa, sye sye sye raa..
ghamandi se firangiyon ke aage
himmaton se tu dahadta
jhuke-jhuke dare huve saron pe
veerta ka mantra jhaadta
lalkaar tu jo ye kehti hai
maati ke liye har saans ko
nichhawar kar do na
boond boond karke itne log tune jode
samudra veerta ka hai bana
prachand aandhi banke
jo ki duniya ko hila de
firangiyon ke zulm se lada
ye pehli hai ladayi
jo janta ne hai chhedi
yoon bijli ki tarah garaj rahi sada
ghulami ke andheron ko rakh mein milane
mashalon ki tarah sulag sulag raha
ho sye raa, ho sye raa, ho sye raa
sawera teri saanson mein basa
ho sye raa, ho sye raa, ho sye raa
andhera tere aane se hata
ho ho sye raa, sye sye sye raa..
daas banke jeene se achha hai
yudh mein hi lad-lad ke mar jaye hum
mushkilon se mila hai manushya ka janam
ismein kyun hum sahein yeh sitam
bhai, bandhu, sakha, putra, maa aur behan
bhulkar ke aage badhte jayein hum
ho dikhe ek par banein lakh hum
lakshya ki taraf badhein kadam
yudh bhoomi jao, yudh bhoomi jao
saare sinha banke, saare sinha banke
shoor hai tu, shoor hai tu
veer hai tu, veer hai tu
dushmaon ko ab jadon se hi tum ukhad do
ho sye raa, ho sye raa, ho sye raa
sawera teri saanson mein basa