Singer | Alka Yagnik & Roop Kumar Rathod |
Genre | Love |
Language | Hindi |
Album | Laawaris |
sine mein sulagta hai dil
gham se pighalta hai dil
jitne bhi aansu hain bahe
utna hi jalta hai dil
kaisi hai yeh agan
kaisi hai yeh jalan
kaisi barish huyi
jal gaya hai chaman
kaisa yeh sitam ho gaya
paya jise tha woh kho gaya
lagata hai naseeb mera
hamesha ke liye so gaya
kaisi hai yeh agan
kaisi hai yeh jalan
kaisi baarish huyi
jal gaya hai chaman
main hoon aur yaado ki hain parachhaiya,
thokare hain aur hain rusvaiya
door tak kuchh bhi nazar aata nahi,
har taraf phaili hain bas tanhaiya
jalte the jo mere liye bujh gaye woh sare diye
tu hi yeh bata de jindagi kab tak koi jiye
kaisi hai yeh agan kaisi hai yeh jalan
kaisi barish hui jal gaya hai chaman
chha gayi gham ki ghataye kya karoon,
ro rahi hain yeh havaye kya karoon
gholti thi ras jo kaano mein kabhi,
kho gai hain woh sadaye kya karoon
jane abb jana hai kahan,
aankho mein hai jaise dhuan
milte nahi hain raste mit gaye sare nishan
kaisi hai yeh agan kaisi hai yeh jalan
kaisi barish hui jal gaya hai chaman
sine mein sulagta hai dil
gham se pighalta hai dil
jitne bhi aansu hain bahe
utna hi jalta hai dil
kaisi hai yeh agan
kaisi hai yeh jalan
kaisi barish huyi
jal gaya hai chaman.