Singer | Manan Bhardwaj |
Language | Hindi |
chehra tera jab bhi aaye
meri aankhon ke saamne
phir se sataye veham yeh mujhe
shayad ke tu tha magar
toh phir kyun
kyun tu na aaye
haan toh phir tu
kyun na aaye kyun na aaye
kyun na aaye
yeh khara samundar mera gawaah hai
ishq hai mera ya mera gunaah hai
tujhko saza aur adalat bana loon
haan shiddat bana loon tujhe
kismat bana loon meri chaahat bana loon
dil se main mangu ibaadat bana loon
chhoote kabhi na woh aadat bana loon
haan shiddat bana loon tujhe
kyun ban gayi tu meri zaroorat
kaise bani kya pata
itna mera dil kamzor hai kya
mujhko nahi tha pata
kuchh toh sambhal tu
main kya kya sambhalun
rote hue dil ko
kaise jhat se mana loon
puchhe agar yeh
tera naam chhupa loon
par phir kya bataun use
kismat bana loon meri chaahat bana loon
dil se main mangu ibaadat bana loon
chhoote kabhi na woh aadat bana loon
haan shiddat bana loon tujhe