Singer | Piyush Mishra |
Language | Hindi |
Album | Gulaal |
hoo raat ke musafir tu bhaagna sambhal ke,
potli mein teri ho aag naa sambhal ke,
raat ke musafir tu bhaagna sambhal ke
potli mein teri ho aag naa sambhal ke,
raat ke musafir..
[chal to tu pada hai, faasla bada hai,
jaan le andhere ke sar pe khoon chadha hai] -2 times
mukaam khoj le tu, makaan khoj le tu,
insaan ke sheher mein insaan khoj le tu,
dekh teri thokar se raah ka wo patthar,
maathe pe tere kas ke lag jaaye naa uchal ke,
hoo raat ke musafir tu bhaagna sambhal ke
potli mein teri ho aag naa sambhal ke,
hoo raat ke musafir…
maana ki jo hua hai, wo tune bhi kiya hai,
inho ne bhi kiya hai, unhone bhi kiya hai,
maana ki tune haan haan, chaha nahi tha lekin,
tu jaanta nahi ki yeh kaise ho gaya hai,
lekin tu phir bhi sunn le, nahi sunega koi,
tujhe yeh saari duniya khaa jaayegi nigal ke- 2 times
hoo raat ke musafir tu bhaagna sambhal ke,
potli mein teri ho aag naa sambhal ke,
raat ke musafir tu bhaagna sambhal ke
potli mein teri ho aag naa sambhal ke,
raat ke musafir..
hmmm…hmmm…
hoo raat ke musafir tu bhaagna sambhal ke,
potli mein teri ho aag naa sambhal ke…raat ke musafir