Singer | Bali Brahmbhatt & Kavita Krishnamurthy |
Genre | Wedding Song |
Language | Hindi |
Album | Khilona |
pandit jee, pandit jee, pandit jee, pandit jee
pandit jee mera haath dekhakar
baat kaho mere hal kee
abb tak sajana mila nahee kyon huyee
main solah sal kee
mujhame kya koyee kamee hai,
aankhe kya hasin nahee hai
kya gore gal nahee hain,
ya lambe bal nahee hain
sara mohalla bat kare,
meree hiranee jaisee chal kee hay hay
abb tak sajana mila
hari om
mere samane aa mujhe hath dikha,
kya gadabad hai pehale yeh bata
hari om
bhagya tumhara bahut bada hai,
janam sathan mein chandra pada hai
chhathe sthan mein guru hai,
lekin thik samane shanee khada hai oh no
waise hath ke bich me rekha badee hai,
kamal kee really han
abb tak sajana mila
hari om
samajh gaya tujhe rahu kee dasha hai,
tujhe pyar kaa rog laga hai
soory prabal hai, bich mein phansa shukr
akela pada huwa hai
raahu mangal ka jhagada hai,
uljhan lafada hee lafada hai
mushkil hai aisa lagata hai,
der abhee do sal kee
are re re re, abb tak sajana mila
pandit jee mujhe naa talo,
koyee toh rah nikalo
rahu ketu shanee ko
abb toh bas aap sambhalo
hathelee mein khujalee ho rahee hai
kharch thoda badh jayega,
chakr gatee hai kal kee
khub dakshina dungee tujhako,
phikr karo mat mal kee
abb tak sajana mila
hari om
abb lo main upachar bata du,
ek nahee do char bata du
jitanee badee dakshina hogee,
utanee jaldee achchha rogee
piya milan ka jap kara du,
chat manganee pat byah racha du
bhagyavatee bhav putravatee bhav,
bhav mangalamay aashish dila du
jab fikar nahee hai mal kee,
toh hathee ghoda palakee
jay jay kanhaiya lal kee
hari om, hari om.