Language | Bollywood |
patta anaaron ka patta chinaron ka jaise hawaon mein
aise bhatakta hoon din raat dikhta hoon main teri raahon mein
mere sawaalon mein mere jawaabon mein shamil tu
bhooli atthanni si bachpan ke kurte mein se mil tu,
rakhoon chhupa ke main sab se woh laila
maangoon zamane se rab se woh laila
kab se main tera hoon kab se tu meri laila,
teri talab thi haan teri talab hai
tu hi toh sab thi haan tu hi toh sab hai
kab se main tera hoon kab se tu meri laila…
o meri laila laila khwaab tu hai pehla
kab se main tera hoon kab se tu meri laila..(x2)
maangi thi duwaen jo unka hi asar hai hum sath hain
na yahan dikhawa hai na yahan dunyavi jazbaat hain,
yahan pe bhi tu hooron se zyada haseen
yaani dono jahanon mein tumsa nahi
jeet li hain aakhir mein hum dono ne yeh baaziyan,
rakhoon chhupa ke main sab se woh laila
maangoon zamane se rab se woh lailan
kab se main tera hoon kab se tu meri laila,
teri talab thi haan teri talab hai
tu hi toh sab thi haan tu hi toh sab hai
kab se main tera hoon kab se tu meri laila…
o meri laila laila khwaab tu hai pehla
kab se main tera hoon kab se tu meri laila..(x2)
zaiqa jawani mein
khwaabon mein yaar ki mehmaani mein
marziyaan tumhari hon
khush rahoon main teri manmaani mein…
band aakhein karoon din ko raatein karoon
teri zulfon ko sehla ke baatein karoon
ishq mein un baaton se hon meethi si naraaziyan,