Singer | Sukhwinder Singh, Sunidhi Chauhan & Akriti Kakar |
Genre | Dance |
Language | Hindi |
Album | Kidnap |
loot lein dil, beech mehfil
hum toh aise hain bae-imaan
meri ek ada shola
meri ek ada shabnam
meri aankhon mein hardum
harpal hai ik toofaan
abhi door se hai dekha
kabhi paas mere toh aa
phir dekh mera jalwa
koi mujhsa hai kahan
yaaron ki mehfil mein
yaar aaye hain
dil ko churaney
dildaar aaye hain
mauka hai ik pal hai
palbhar ka samaan
is pal mein ban jaaye
koi daastaan
loot lein dil, beech mehfil
hum toh aise hain bae-imaan
meri ek ada shola
meri ek ada shabnam
meri aankhon mein hardum
harpal hai ik toofaan
ishq bin jeena hai kya
ishq bin marna hai kya
ishq hi to haqeekat hai
ishq bina warna hai kya? (repeat once)
ishq sab hai, ishq rab hai
ishq hai mera khuda!
meri ek ada shola
meri ek ada shabnam
meri aankhon mein hardum
harpal hai ik toofaan
haadsa aisa ik ho gaya hai yahan
jo hain anjaan hongey wo yun hairaan
aankh se jaise kajal chura le koi
aur badle mein bas ik dua de koi
haan dua de koi
khush raho khush raho
khush raho khsuh raho
rab karam ye karey
rab karam ye karey
jo hon apney tumharey na wo gum karein
na paraya koi ankh ko nam karey
ho sake toh zara
tum bhi kar lo dua
tum bhi kar lo dua
ho sakey toh zara
wo mile jiske haathon mein meri jaan hai
humne ki dua! lo! ye ki dua
humne ki dua hai
hath yun utha
sar bhi hai jhuka
humney ki dua hai
mohabbat sabne ki hogi
ishq bin jeena hai kya
mohabbat apni alag hai
ishq bina marna hai kya
main kya kya kar jaunga
yeh toh bas ek jhalak hai
ishq bina warna hai kya
loot lun dil
beech mehfil
bach ke jayega tu khaan
toofan utha doonga
main jaan lagaa doonga
tu hai kya main teri
pehchan mita doonga
abhi door se hai dekha
kabhi paas mere tu aa
phir dekh mera jalwa
koi mujhsa hai kahan