Singer | Millind Gaba |
Language | Hindi |
“toh ye main jo bhi sunaane ja raha hu
ye 2014 mein likha tha
jab 4 men down rlease hua tha
tab bahut saari frustration thi
bahut azxiety thi but
sunne wale log nahi the
aaj sunne wale log hai
aur ye cheez basically unke liye hai
jinko lagta hai ki unka time nahi aa raha hai
wo mehnat kari ja rahe hai
time aayega, time kaha jayega
insaah allah aayega mera aaya toh
aapka bhi aayega suniye!”
mattha kharaab kabhi kabhi hota hai
dil saala chhota kabhi kabhi rota hai
aankhe hain bhari ummedo se aaj bhi
par taange saali badi badi
bed saala chhota hai
neende gaayab pata nai kab se
struggle kab tak poochhun main rab se
laakhon ki bheed ko main
cheer ke aaun chopper se stage pe
ye sapne dekh raha tab se
bheje ko apne main chill rakhta hu
main adhmara nahi poora kill karta hu
log bhale hi bolein bete facebook pe aake
main to kaam se phaadne ka skill rakhta hu
apne music ka public ko overload dunga
gaane vaane kar main explode dunga
sadne walo ki kabre main khud khod dunga
bete meri baari aan de main
bete meri baari aan de main
bete meri baari aan de
par pata ni saala slow slow kyon ho raha hai
meri baari upar wala kyon so raha hai
niraash nahi theek hai
time pe milega sab kuchh
warna ek ek jalne wala
dikhta mujhe ke ro raha hai
so raha hai, wo so raha hai
wikipedia mera abhi tak kora hai
ek chance, ek stage, ek bada hit
energy ka jwalamukhi fatne ko ho raha hai
bilkul aise sadne walon ko rulaunga
baadlon ki tarah main chha jaunga
qismat to chamkegi duniya gaayegi
mere gaane aur bete main taali bajaunga
music ka public ko overload dunga
gaane waane kar main explode dunga
sadne walon ki kabre main khud khod dunga
bete meri baari aan de main
meri baari aan de main
yeah aan!
overnight nahi hustle wale hum star hain
music ke bina hum bekaar hain
na koi baatcheet badi badi company’on se
na mere dost bade bade kalakaar hain
apni mehnat pe aaj bhi hu proud main
jubaan se shaant kaam se hu loud main
kal bada artist jebe bhari hongi paison se
to kya hua agar aaj hoon crowd mein
ek ek ki chaatun waisa mera roop nai
motivate karne wala koyi troop nai
mere kaanon mein rafi sahab koyi snoop nahi
akela hi main machaunga mera koyi group nai
bhaiyon ke hathon mein tattoo dikhaunga
ladkiyon mein matlab tabaahi machaunga
mera naam cheekheingi main aur chikhwaunga
bob the builder nahi phir bhi karke dikhaunga
music ka public ko overload dunga
gaane vaane kar main explode dunga
sadne walon ki kabre main khud khod dunga
bete meri baari aan de main
yeah yeah yeah!
yeah yeah yeah aah
meri baari to aa gayi
but i wish everybody
who is struggling hard, hustling hard
apni family ke liye
apne liye unki baari jaldi aaye
don’t stop chasing your dreams!