Singer | Jaspinder Narula, Sonu Nigam & Sukhwinder Singh |
Genre | Dance |
Language | Hindi |
Album | Jaanwar |
maathe pe chamke iske sooraj ki laali
honton se chhalke dekho masti ki pyaali
balkhaaye aise jaise champa ki daali
iski adaaein saare jag se niraali
mera yaar dildaar bada sona
main dekhoon baar baar isko
mera yaar dildaar bada sona
main dekhoon baar baar isko
kirne lutaaye dekho chaaron dishaaein
khushboo ka jhonka leke aaye hawaaein
chaahat ke rangon se hain rangeen fizaaein
saare jahan se kehti meri nigaahein
mera yaar dildaar bada sona
main de doon saara pyaar isko
mera yaar dildaar bada sona
main de doon saara pyaar isko
maahi mera maahi meri jind meri jaan ve
teri is ada pe ho gaya main qurbaan oye
maahi mera maahi meri jind meri jaan ve
teri is ada pe ho gaya main qurbaan oye
gore gore rang iske neele neele naina
dekhe bin ab to kahin aaye nahin chaina
haaye, resham jaise ang iske gesu jaise baadal
dil ko deewana kare dhaani dhaani aanchal
shokh bahaaron si lagti hai iski har angdaai
o mera yaar dildaar bada sona
main de doon saara pyaar isko
o mera yaar dildaar bada sona
main de doon saara pyaar isko
dol sajna hai duniya badi bepeer ve
bichhdegi raanjhana se kabhi bhi na heer oye
dol sajna hai duniya badi bepeer ve
bichhdegi raanjhana se kabhi bhi na heer oye
shehnaai ki sargamon si meethi teri baatein
dekhoon main khwaabon mein shaadi doli baaraatein
yaara tere saath meri shaamein hain sindoori
na to koi pyaas hai, na chaahat hai adhoori
sau rab di ek pal bhi ab to sehni nahin judaai
mera yaar dildaar bada sona
main dekhoon baar baar isko
haan mera yaar dildaar bada sona
main de doon saara pyaar isko
maathe pe chamke iske sooraj ki laali
honton se chhalke dekho masti ki pyaali
kirne lutaaye dekho chaaron dishaaein
khushboo ka jhonka leke aaye hawaaein
mera yaar dildaar bada sona
main dekhoon baar baar isko
o mera yaar dildaar bada sona
main de doon saara pyaar isko .