Top Song Lyrics Find Here

manzil lyrics – jatt prabhjot | gurvansh gujral

manzil lyrics – jatt prabhjot | gurvansh gujral lyrics

Poster manzil lyrics – jatt prabhjot | gurvansh gujral

manzil lyrics – jatt prabhjot | gurvansh gujral

Details
Singer Jatt Prabhjot, Gurvansh Gujral, Tanya Mathur
Language Hindi
Poster manzil lyrics – jatt prabhjot | gurvansh gujral
play
Lyrics

jude zameen se aasmaqn pe rakhe pair
pehle teri mehnat fir hoti rab di mehar
lekeer ka fakeer bann ne ka tha na shauk
tabhi to ban paya aap sabka jatt prabhjot

toh good morning friends
sat sri akal namaste
badon ko pairi pauna chhoton ko hello!

umar 10 tera bhai tass se mass
khel khud, maze loot
aur padhne mein tha main mast
shauk the do ghoomna firna aur padhai
baaki aankhon se dikhta na thi utni kamayi
jo le jaaye mujhe baahar, dilaye kapde
main pagal sa bachcha lagta tha unse jhagadne

pyaar karne se zyada papa majboor the
tabhi to dost yaar mere mujhse door the
puraane mere kapde, puraane joote
puraani yeh kitabein
wo haste the mere munh pe
kyun be ismein meri kya hai ghalti
par jald hi main seekh gaya
majboori bhi ek ghalti

chalna seekhaya tujhe daudna hai
jeena seekhaya tujhe jeetna hai
kehna seekhaya tujhe cheekhna hai
tujhe seekhna hai

chalna seekhaya tujhe daudna hai
jeena seekhaya tujhe jeetna hai
kehna seekhaya tujhe cheekhna hai
tujhe seekhna hai tujhe jeetna hai

kuch hi samay nave kaam pe main jaane laga
umar thi 12, 22 ki soch ko laane laga
kam thoda khaane laga aansu ko dabane laga
apne se bhari wajan main uthane laga
padhne ka shauk kaam karne ki majboori thi
raat raat bhar padhai se
kamzor aankhe ho rahi thi
meri umar mein laundon ke toot te dil
yahan meri aankhon ke saamne
meri dukaan tutt rahi thi

woh bhi tha samay room ek rehte log 5
wahi tha khana peena wahi bani apni dukaan
kayin baar soch aayi le leta hu apni jaan
par imaan bola papa ki baat ka banega kon shaan

zarurate poori ho na ho
par meri fees bhari jaati thi
meri maa ki aankhon mein woh ek tasveer
mujhe hamesha dikhlaati thi

ke mujhe hona kaamyaab
karna kanyadaan meri chhoti behan
meri jaan mera samman
mere ghar ki khushiyon ko wapas deni jaan
seedhi baat wapas lana apna aatmsamman

chalna seekhaya tujhe daudna hai
jeena seekhaya tujhe jeetna hai
kehna seekhaya tujhe cheekhna hai
tujhe seekhna hai

chalna seekhaya tujhe daudna hai
jeena seekhaya tujhe jeetna hai
kehna seekhaya tujhe cheekhna hai
tujhe seekhna hai tujhe jeetna hai

poori padhayi ki, thi naukri ki talaash
saal bhar ghoome baby bana na paaye koyi baat
4000 koyi deta 5000 iss se zyada dukaan pe
mere chhotu ki thi pagaar
kaam pakde jo bhi mujhe takkre
na the koyi nakhre
kyun ki saaf mere sapne, saath mere apne
sath kiya kaam, sath faila naam
aaj bhi thokte salaam apne bhaiyon ko
jinhone diya sath
jinhone mere bure waqt mein bataya hath
yeh zamana hath kaatne walon ka
jaat-paat mein baatne walon mein se
na tha koyi mera yaar

dhool vi chatt layi, duniya vi takk layi
koyi kise da yaar nai jad hundi ae takleef
yaar pra vi nakli eh gal ch koyi shak ni
paalo tussi kutta par paalo kade sapp nahi

poori zaruratein ab ho rahi thi
meri maa bhi ab sukoon se so rahi thi
par mere andar ka jawaala tha
mujhe jo sata raha tha
uss se meri neendein ab kho rahi thi

kaam kar raha hu, ghar bhi theek hai
yaar dost kehte tune paa li jeet hai
par aana mujhe rona yeh kaisa mera naseeb
kaamyaabi ke baad bhi
mujhe mili na koyi jeeta hai

dum mera ghut raha, maa mujhe puchhti
raaton ko mujhe neend nahi
kaam mein aati susti santusti nahi hai
kisi bhi baat ki mujhe khushi kyun nahi hai
char diwari ko chhod karna aasmaan ki sawari
maine soch liya yeh kaam mere bas ka nahi hai

zindagi jeeni hai ik baar jee shaan se
manzil hai door par lagam tere hath mein hai
zinda hai tu kyun-ki khuda tere sath mein hai
na dar tere kala tere hath mein hai

kaamyab banda kaam ke baad bhi khush nhi hai
to woh kaamyaab hi nahi hai
iklauti zindagi ko ro kar jeena
achhi baat to nahi hai

job se off lekar savings ko tod diya
kar explore mujhe yeh hai maine thaan liya
ghar walon ne bhi mujhe poora support kiya
soch liya gaadi maine laddakh ko mod liya

lagaya go pro jaane laga slow slow
leta raha photo aur leta raha slow-mo
dekha maine jo jo
main chahta sab kuchh mera ho
main chahta har koyi dekhe kabhi
banaya pehla video
start to end maine poora record kiya
ghar aake dekha edit kiya phir upload kiya
sach bataun woh pehla zindagi ka din tha
jab har ek lamha maine poori khushi se jiya

chalna seekhaya tujhe daudna hai
jeena seekhaya tujhe jeetna hai
kehna seekhaya tujhe cheekhna hai
tujhe seekhna hai

chalna seekhaya tujhe daudna hai
jeena seekhaya tujhe jeetna hai
kehna seekhaya tujhe cheekhna hai
tujhe seekhna hai tujhe jeetna hai

back to square one, one on one
shurun hui jung jo thi meri khud se
kamaun thoda kam par karun kaam
jismein lage mann
yeh maine thaan liya mann se

back to back fir video banane laga
chhutti to milni nai thi salary katwane laga
daat bhi khaane laga par baat nai koyi
dilli manali mussoorie toh ghoomne mila

dekh dekh views badhne lage
log mere naam se mujhe jaan ne lage
road pe rok ke mujhe bulane lage
phir ek din hua kuch aisa
meri aankhon se aansu na ruke

paa li jeet bhale aa jaye maut ab
hua kaamyab na bacha kisi ka khauf ab
shohrat paa li maine, daulat paa li
papa ki chhaati chaudi ke samne tikega kon ab
record kiya set fastest growing
youtuber ki lagi bet
time hua mujhe aaye 2 saal
2 saal mein tera bhai 1 million paar

diya shot maine short notice mein
aane lage notice mein tere bhai ke kisse
load kare shot kare video mein gaur kare
mere liye comments mein logon ki maa-behan kare
mere fans ne diya bohat pyaar
haters ne mere liya rakha mangalwar
samachar aaya jatt prabhjot ko mila pyar
tabhi to ktm se seedha le li bmw car

bana vloger na kisi ka naukar
din mein kaam khud ka shaam mein hu shopper
hip hopper bhai mere sath gurvansh gujral
gol maare jaise shocker
plan tha foolproof na khela main gambling
tumhare liye tough jaise carry of gavin
off road zindagi mein smooth rakhi handling
tumhe laga shot-put maine javelin

subscribe kare dislike ke liye
face hide kare meri ek bite ke liye
lakhon mein views har video ko aate
haters ka aabhari main iss hype ke liye

door se dekh kar mudd jane wale log aaj
door door se aate mujhe milne
purani tasveerein inbox mein bhej kar
aate banane nave nave rishte

jo na karte the follow
aaj tweet karte hai mere baare main
waise to manzil hai bahot door
par kayi log humein ginte sitaaron mein

tumhare saame hai aaj mera kal
na yeh chamatkaar bas mehnat ka fal
aap sabhi ke pyaar se haters gaye jal
aur main seekh gaya zindagi ka jeena har pal
haan manzil bahot door hai
par yeh mukaam mere liye kisi jeet se kam nahi
bure samay ko sahi banana
humare hath mein hota hai
bas sacche man se mehnat karte jao
aur pyaar failate jao
isiliye main yeh kehta hu
dua bani dawa jahan kabhi socha na tha
wahan aaj hoon khada
jo na jaante the woh bhi aaj hai mere gawah
mata pita aur chahne walo ko dil se shukriya!

You May Also Like (Similar)

Advertisement
Find Song Lyrics
Note: From this website you will get free lyrics facility. The files are not hosted by us.
Rules: videos/lyrics will be for personal use only / you cannot redistribute them / delete them from hard disk after 24 hours (if you do not agree, close this window)
Evergreen Hindi, Bhojpuri Song Lyrics