Singer | Sonu Nigam |
Language | Hindi |
Album | Paltan |
sathiyon… sathiyon…
aakhri baar kiya kah rha hun suno…
ho sakte to suno…
maine apne garam lahu se
waqt ke barfeele kagaz par
ek paigham likha hai…
jinke naam likha hai
untak pahuncha dena
untak pahuncha dena…
mere mann ki baat unhe tum batla dena…
maine apne garam lahu se
waqt ke barfeele kagaz par
ek paigham likha hai…
ek paigham likha hai…
meri maa se tum yeh kahna
bachpan mein mujhse tune kaha tha
dharti maa bhi maa hoti hai
maine aaj is dharti maa ki
laaj rakhi hai…
mat ro maa tu kyun roti hai
kyun roti hai!
kyun roti hai!
maine apne garam lahu se
waqt ke barfeele kagaz par
ek paigham likha hai…
ek paigham likha hai…
mere baba se tum kahna
bachpan mein mujhse tumne kaha tha
aisa kuch mat karna ke main sarminda hoon…
tumne kaha tha itihaas hum se kahta hai
joh hai bahadur mar ke bhi zinda rahta hai
baat tumhari maan li maine
apne batan me jaan di maine
dekho baba aaj main marke bhi zinda hoon…
sau crore insaanon ke ahsas mein…
main zinda hoon…
hindustan ke mann mein base vishvas mein…
main zinda hoon…
naujawaan chehron mein main hoon
sarhad par pehron mein main hoon
tum mera koi gham na karna
apni palkon ko namm na karna
apna gaurav kam na karna
apna gaurav kam na karna
main zinda hoon! (x7)