Singer | Kishore Kumar |
Genre | Motivational |
Language | Hindi |
Album | Baat Ban Jaye |
tum kaun ho, main
main panjaabi hindustaani
main panjaabi hindustaani
main panjaabi hindustaani meri chaal badi mastaani
jaisa mera gaanv ka paani, aisi shahro ki sharaab nahi
mere desh ka jawaab nahi
mere desh ka jawaab nahi
koi dusra panjaab nahi
mere desh ka jawaab nahi
mere desh ka jawaab nahi
mere paas nahi hain paisa, phir bhi kaun hai mere jaisa
mere paas nahi hain paisa, phir bhi kaun hai mere jaisa
mai logo ka dil bahlaau, bhangda naachu tappe gaau
gaana bajaana mera dhanda main hu ek maamuli banda
koi raaja nawaab nahi, mere desh ka jawaab nahi
mere desh ka jawaab nahi
mere desh ki ek nishaani, ye mohabbat or jawaani
mere desh ki ek nishaani, pyar mohabbat or jawaani
panghat pe lagte hai mele, par mere din raat akele
taqdiro ka maara hu mai, kyunki abhi kunwaara hu mai
mere gum ka hisaab nahi, mere desh ka jawaab nahi
mere desh ka jawaab nahi
ho oye kudiye kya naam hai tera
shahro me kya kaam hain tera
hoye ladki kya naam hai tera
shahro me kya kaam hain tera
lagti hai tu gaanv ki gori, resham ki dhaago ki dori
maaf ho ye gustaakhi meri karta hu taarif mai teri
meri niyat kharaab nahi, mere desh ka jawaab nahi
mere desh ka jawaab nahi
main panjaabi hindustaani
main panjaabi hindustaani meri chaal badi mastaani
jaisa mera gaanv ka paani, aisi shahro ki sharaab nahi
mere desh ka jawaab nahi
mere desh ka jawaab nahi
koi dusra panjaab nahi
mere desh ka jawaab nahi
mere desh ka jawaab nahi