Language | Hindi |
2006 pehla saal mera mumbai ka
khaawb tha main star banu
aaj bhi bas ummeedgaar
socha tha kuchh banunga
na darunga bas karunga
aur main bhi bachchan shahrukh
ki tarah hi aage badhunga
nazariya ik dikhlaunga
poori duniya ko bha jaunga
magazine’o ke cover’on pe aake
main bhi muskuraunga
main sabse ghul mil jaunga
duayein bhi kamaunga
main hero banke filmo mein
khud ke gaane bhi to gaunga
audition to regular hoti hai
aur bheed mein main bhi hota tha
apne khaawbon ki baaton mein aake
main bhi raaton ka na sota tha
aur mere jaise kayi hain yahan pe
actors ka bhandar hai
par khareed daar hai kam
ye rishtedaron ka bazaar hai
yaha shuru mein maze to aate hain
phir atyachaar bhi hota hai
tere face mein ab woh baat to hai
par tu thoda sa mota hai
teri comedy bhi achi hai
bas dance ne tujhko roka hai
aur jab sab kuchh maine seekha to
ik standard dialogue thoka hai
lage reh, bas lage reh
oh bhai tu lage reh…..
lage hain, bas lage hain
oh bhai bas lage hain….
kuchh hoga toh batayenge
tujhko khud se bulayenge
lekin jaane pehchane sitaron ko
jaano to sar pe sab bithayenge
tu ek dum top pe jayega
yeh jhoothe wade layenge
aur jis din main yaha hit huya
saare apna hakk jatayenge
humko to pehle hi maloom tha
aap ek na ek din chhaoge
industry ki market mein aate hi aap
inn sabki market ko khaoge
kya dikhte ho, kya likhte ho
har type ki film mein aap bikte ho
bas samajh lo jaise ki lakhon ki
aankho mein aap hi aage bas tikte ho
boss ! teri bullshit
kisi aur ko sunaiyo
tu abhi kaam sath karle
varna baad mein mat aaiyo
hu main kalakaar
hai kala meri bhaari
now you don’t wanna waste my time
my brother you will be sorry
lage reh, bas lage reh
oh bhai tu lage reh…..
lage hain, bas lage hain
oh bhai bas lage hain….
lage reh tu, lage reh tu
lage reh tu, lage reh tu
lage reh tu bas dil o jaan se bhari
tera kaam apne aap ek din saamne aayega
tu dhyaan juta meri maan le bhai
iss lagaam ko tu thaam
apne kaam se tu kaam rakh
dil mein jo kafan hai
wo baandh le bhai
iss jage huye sapne mein
apne ko jeetna hai
apna to yahi armaan hai bhai
suno mere yaaron
mere gaanon se pehchano
jatt pagla deewana mere jaisa nahi hai
chahe yeh zamana tera maane ya na maane
main tujhe itna bata du
maine rukna nahi hai
logo ke dilo mein jaake main rahunga
gaane aur filmein banaate main rahunga
dhanda nahi karta, main hero bhi banunga
satya ki jeet to phir aage hi badhunga
lage reh, bas lage reh
oh bhai tu lage reh…..
lage hain, bas lage hain
oh bhai bas lage hain….
be at it, just be at it…
be be be be at it