Singer | Hariharan & Sadhana Sargam |
Genre | Sad |
Language | Hindi |
Album | Lakshya |
kitni baatein yaad aati hai
tasveerein si ban jaati hain
main kaise inhein bhooloon
dil ko kya samjhaun
kitni baatein kehne ki hai
honton par jo sehmi si hai
ik roz inhein sun lo
kyun aise gum-sum ho
kyun poori ho na paayi daastaan
kaise aayi hai aisi dooriyaan
dono ke dilon mein chhupa hai
jo ik anjaana sa gham
kya ho paayega woh kam
koyi kya kahe
dono ne kabhi zindagi ke
ik mod pe bhi jo paayi
hai kaisi woh tanhaai
koyi kya kahe
kitna viraan hai ye sama
saanson mein jaise ghulta hai dhuwaan
kaisi aayi hai aisi dooriyaan
kitni baatein yaad aati hai
tasveerein si ban jaati hain
main kaise inhein bhooloon
tumse aaj yun milke dil ko
yaad aaye lamhein kal ke
ye aansoon kyun hai chhalke
ab kya kahen
tumne hamko dekha jo aise
toh ik umeed hai jaagi
phir tumse pyaar paane ki
ab kya kahen
aa gaye ham kahaan se kahaan
hariharan:
dekhe mudke ye dil ka kaarvaan
kaisi aayi hai aisi dooriyaan
kitni baatein kehne ki hai
honton par jo sehmi si hai
ik roz inhein sunlo
kyun aise gum-sum ho
kitni baatein yaad aati hai
tasveerein si ban jaati hain
main kaise inhein bhooloon
dil ko kya samjhaun.