Singer | M. M. Keeravani |
Genre | Emotional |
Language | Hindi |
Album | Kasak |
jana hain jana hain
chalte hi jana hain
naa koyi apna hain
naa koyi thikana hain
sab raste naraj hain
manjil ki aahato se
rahi begana hain
jana hain jana hain
chalte hi jana hain
sab raste naraj hain
manjil ki aahato se
rahi begana hain
jana hain jana hain
kya kabhi sahil bhi
tufan me behate hain
sab yaha aasan hain
hausle kehte hain
sholo pe kanto pe
haske chal sakte hain
apni takdiro ko ham
badal sakte hain
bigde halato me dil
ko samjhana hain
jana hain jana hain
chalte hi jana hain
khwabo ki duniya
me yaado ke rele me
aadami tanha hain
bhid me mele me
jindagi me aisa
mod bhi aata hain
pav ruk jate hain
waqt tham jata hain
aise me toh mushkil
aage badh pana hain
jana hain jana hain
chalte hi jana hain
naa koyi apna hain
naa koyi thikana hain
sab raste naraj hain
manjil ki aahato se
rahi begana hain
jana hain jana hain
chalte hi jana hain.