Singer | Tulsi Kumar, Khushali Kumar |
Language | Hindi |
2 kadam chalne ki chaah thi us raaste par
jis par chalne ko haath thama tha tumne
lagta tha bas yahi pauchaegi
manzilen safar tak
khoj poori ho gayi sayad aisa ehsaas ho gaya tha
andar ke dard abhi kuch der pehle tak dukhte the
girne wale toh na the hum kabhi
giraane wale ka hunar to dekhiye
humne aah bhi kari toh humein hi sunayi na di
pighalte gaye uski saanson mein har pal
saamne woh tha to har sabr kho baithe
sirf chaaha ki wo chahein mujhe itna
jitna maine usko chaaha
haule se kab hua yeh ki kisi aur ka hokar
meri or dekh kar kaha ki kami hain teri
halki si mjaak ban kar reh gayi khuddari meri
ab na hoga mujhse ye khel dobara
ye khel dobara
zehar vekh ke peeta te ki kitta
ishq soch ke kitta te ki kitta
dil de ke dil lain di
aas rakhi ve bulleya ve bulleya
pyaar vi lalach naal kitta te ki kitta
par tum mein shayad kuch khaas hai
tumhari aankhon mein bacho ki si aas hai
tumhare ankhon ke seeshe mein
mera chehra dikha hai mujhe
mere chehre ki rangat
kya khoob dikhati hai inmein
sochte hain ab inhi mein rehenge
zehar vekh ke peeta te ki kitta
ishq soch ke kitta te ki kitta
dil de ke dil lain di
aas rakhi ve bulleya ve bulleya
pyaar vi lalach naal kitta te ki kitta
chal zindagi main ishq ke juye ke liye
fir tayaar hu
saari baaziyan tu khel fir mujhko mitti mein rel
sab karke dekha ishq mein hi chupi ibaadat hai
waqt agar zindagi toh ishq khuda hai
har pal mein ishq mitti mein ishq
hawayon mein aur kya hai baaki
ishq khuda hai
ishq khuda hai..