Singer | Armaan Malik |
Genre | Romantic |
Language | Hindi |
Album | Article 15 |
aa na.. aa bhi jaa na intezari hai teri
le ja.. jo rishton ki rezgaari hai teri
woh jo hum roye saath thhe
bheege din aur raat thhe
khaare khaare paani ki kahani woh leja na
aa na.. aa bhi jaa na intezari hai teri
le ja.. jo rishton ki rezgaari hai teri
daant kaate, sang baante
khatte meethe ka maza hai
zabaan pe ab bhi taaza saathiya
chand dekha tha jo humne
chaar aankhon se kabhi
kaise dekhun usko tanha saathiya
daant kaate, sang baante
khatte meethe ka maza hai
zabaan pe ab bhi taaza saathiya
chand dekha tha jo humne
chaar aankhon se kabhi
kaise dekhun usko tanha saathiya
ho.. kabhi yunhi takna tujhe, yunhi dekhna
kabhi baithe baithe yunhi tujhe sochna
wo pal qaraar ke, woh jo the lamhe pyaar ke
unhe mere khwabon se khayalon se le jaa na
aa na.. aa bhi jaa na intezari hai teri
le ja.. jo rishton ki rezgaari hai teri
kabhi roothna woh tera kisi baat par
kabhi hanske taali dena mere haath pe
thode shikve kuch gile
woh jo thhe apne silsile
toote huve waade woh iraade woh le jaa na
aa na.. aa bhi jaa na intezari hai teri
le ja.. jo rishton ki rezgaari hai teri
daant kaate, sang baante
khatte meethe ka mazaa hai
zubaan pe ab bhi taaza saathiya
chaand dekha tha jo humne
chaar aankhon se kabhi
kaise dekhun usko tanha saathiya
daant kaate, sang baante
khatte meethe ka mazaa hai
zubaan pe ab bhi taaza saathiya
chaand dekha tha jo humne
chaar aankhon se kabhi
kaise dekhun usko tanha saathiya