Language | Bollywood |
ye naya hindustan hai
par soch wahi purani hai
hindu muslim sardaro
se pehle hindustaani hai
deewali pe chamkegi ye
sawayiyan eid pe khani hai
sehta bhi, yah deta bhi
har din nayi kahani hai
itni bhasha itne rang
phir kal se saare sang
aankho mein sab le umang
tirange ko salaami hai
ye mitti meri jaan
ye mitti maan hai
mitti meri geeta
yahi mitti ramjaan hai
mitti ho maathe pe to
mitunga na main kabhi bhi
yahi khuda ye ram hai
ye mera hindustan hai
suno gaur se duniya walo
buri nazar na humpe dalo
suno gaur se duniya walo
buri nazar na hum pe dalo
chahe jitna zor lagalo
sabse aage hai hindustani
hindustani…!
ho o suno gaur se duniya walo
buri nazar na hum pe dalo
chahe jitna zor lagalo
sabse aage hai hindustani
hindustaani…!
humne kaha hai
jo tum bhi kaho
humne kaha hai
jo tum bhi kaho
jiddi mizaji hai
jeeto ke aadi hai
hum yaar hai pyaar ke
unchi udano ke
saathi tufaano ke
aashiq gholat dhar ke
aasma ka har taara
jeet le jaha saara
shaan se khada hai india
na juda koi kar paya
na koi hara paya
ni kisi ke aage jhuka india
vande, vande mataram
hindustani…!