Singer | Asim Azhar, Zenab Fatimah Sultan |
Language | Bollywood |
Jaaye kahaan hai wafa yahaan raahegaan
Saahiban jo laga tha kabhi
Woh fareb-e-nazar aasmaan
Ab sharafat nahi ye rivayat nahi baaqi
Ho kisi ki kadar aisi aadat nahi baaqi
Aisa nahi kahin koi hai
Ghalat fehmi jo bani hai
Khoya nahi apnaapan
Ehsaas ki raah chuni hai
Tarasti hain nigaahein meri
Takti hain raahein teri
Sunn kabhi aahein meri
Yeh kaise main bataaun
Tujhe soti nahin aankhein meri
Kat’ti nahin raatein meri
Ki Khawaaishein pe khabon ki barishein
Azaabon ki kahaan kahin gayi
Dhoop mere hisse ke sawabon ki
Ki dard bhare naalon pe
Kar karam sawalon ke
Kyun sitam hai tera tere chaahne walon pe
Tarasti hain nigaahein meri
Takti hain raahein teri
Chaahiye panaah teri
Yeh kaise main bataaun
Tujhe soti nahin aankhein meri
Kat’ti nahin raatein meri
Dhal nahi jaate
Pal nahi jaate
Doobti hain saansein
Dil aise bhar jaate
Jaate huve lamhon ko
Paas bulaata hai
Thodi si bhi doori dil
Seh nahi paata hai
Sab hai dikhawe
Jhoothe behlaave
Ek hi kadam laaye
100-100 pachhtaave
Bekhabbar tha zara
Par na tha bewafa yaara
Sach thha ya ghalat fehmi
Par khaab nahi jud paate
Dukh dete, jaan lete hain
Taras zara nahi khaate (x2)
Tarasti hain nigaahein meri
Takti hain raahein teri
Chaahiye panaah teri
Yeh kaise main bataaun
Tujhe soti nahin aankhein meri
Kat’ti nahin raatein meri
Ki Khawaaishein pe khabon ki barishein
Azaabon ki kahaan kahin gayi
Dhoop mere hisse ke sawabon ki
Ki dard bhare naalon pe
Kar karam sawalon ke
Kyun sitam hai tera tere chaahne walon pe
Aisa nahi kahin koi hai
Ghalat fehmi jo bani hai
Khoya nahi apnaapan
Ehsaas ki raah chuni hai (x3)
Aisa nahi kahin koi hai
Ghalat fehmi jo bani hai
Written by:
Shakeel Sohail
Music Video Of: Ghalat Fehmi