Singer | Ravindra Jain |
Genre | Love |
Language | Hindi |
Album | Bhagmati |
falsafi o falsafi kis taraf
haib tera ishara
kya soya kal aankhe mal
jagne ko hai dobara
suno suno kya kehti
in bejaban patthar ki jaba
hain jinki chahat jawa jawa
unhi phoolo ka ye gulsita
diye sadiyo pehle huye the jo roshan
diye phir wahi jagmagane lage hain
kare benajar pe gaye jo nazar ko
nazar phir wahi aane lage haib
ye hai do dilo ki mohabbat ka mandir
nishani har inki yaha bolti hai
wo chup ho gaye hai
jo kuchh kehte dil se
wahi to samay ki sama bolti haib
kal raat iss fire ne manayi jo diwali
aaj uski badhayi dene aayi subah ki rani
khabar sunke hairan hain log saare
hakikat hai kya janana chahte hai
jo kal raat ko chand aankho ne dekha
kahi maujsa dekhna chahte hai
baya unki pakijagi ka ho kaise
ek tha beganga to ek tha sangam
nahi jaat maddham nahi dakhl dete
jaha pyar mein do dilo ka ho sangam
chahat ki jadugari dekhne ko
umar pada hain jaha
nahi ye sirf ek daasta
haqiqato ka hai yeh baya
ye naa samajho gujar gaya hai waqt
log gujre thehar gaya hai waqt
aaj aur kal ke garmiya ki sabhi
duriya dur kar gaya hain waqt
naa baandhe bandhi hain
samay ki ye dhara
ye sadiyo ki jinke bahe jaa rahe hain
naya rup lekar naye naam lekar
wahi log apne ko dohra rahe hain
naya rup lekar naye naam lekar
wahi log apne ko dohra rahe hain.