Top Song Lyrics Find Here

ek sher tha ek sherni

ek sher tha ek sherni lyrics

Poster ek sher tha ek sherni

ek sher tha ek sherni

lyrics/Album : Raju Chacha
Details
Singer Shankar Mahadevan & Shweta Pandit
Genre Emotional
Language Hindi
Album Raju Chacha
Poster ek sher tha ek sherni
play
Lyrics

ek samay ki baat suno

ye baat hai badi puraani

maine tumhaare raaju

chaacha se suni thi ye kahaani


ik sher tha ik sherni

unke the teen bachche

tum jaise wo shaitaan the lekin

lekin lekin kya paapa

lagte the sabko achhe

chhoti si ik gufa ke andar

chhota sa ik ghar tha

unke jeevan mein na

koi dukh na koi dar tha

maa ke laadle the wo

baap ko jaan se bhi pyaare

hanste gaate mauj udaate

mil ke rahate the saare

la la la


kya hua paapa bolo na

honi ne jaal bichaaya

waha ek shikaari aaya

wo sherni saamne aai

usne bandook chalayi

wo sherni ghaayal ho

gayi chillaai tadpi so gayi

usne phir aankh na kholi

seene mein lagi thi goli

lekin wo marte marte ye

kah gayi chalte chalte

mere saathi mere

sajna in bachhon

ko pyaar se rakhna

tum baap ho bhool na

jaana maa ka bhi

farz nibhaana

he baap bhala kya

jaane maa kya hoti hai

bachhon ke sang kaise

hansati kaise roti hai

usane bhi yuun hansana

rona seekh liya

bachchon ke sang

jaagna sona seekh liya

samay ruka phir dheere

dheere chalne laga

man ka ghaav dheere

dheere bharne laga

baap ki ungli thaam ke

bachche chalne lage

maan ke badle baap ki

god mein palne lage

saal maheene mausam

aane jaane lage

sher ke bachche phir

se hansne gaane lage


baaki kahaani kal chalo

bachhon abhi so jaao

oh nahi paapa nahi

paapa please

abhi sunaao na paapa

please abhi abhi

achha baaba to suno


o raahul o rohit o raani

suno aage ab ye kahaani

pada unpe phir gam ka saaya

waha ek babbar sher aaya

wo gurraaya chinghaada aise

ke kha jaayega sabko jaise

wo bachhe to bas dar ke

bhaage magar aa gaya baap aage

shuru ho gaya ek dangal

laga kaanpane saara jungle

darakton pe ja baithe bandar

chhupe saap bhi bil ke andar

kaheen ud gaye sab kabootar

chadhe bhaalu parabat ke upar

lage bhaagne dar ke haathi

na tha sher ka koi saathi

hui khoob jam ke ladaai

babbar ne bahut maar khaayi

to bachchon ne taali bajaai.


You May Also Like (Similar)

Advertisement
Find Song Lyrics
Note: From this website you will get free lyrics facility. The files are not hosted by us.
Rules: videos/lyrics will be for personal use only / you cannot redistribute them / delete them from hard disk after 24 hours (if you do not agree, close this window)
Evergreen Hindi, Bhojpuri Song Lyrics