Singer | Sachet Parampara |
Language | Hindi |
kuchh kahaniyan
samundar ki tarah hoti hai
zaroori bhi adhoori bhi
ek kinare se poora samundar
nahi dikhta na
yeh kahani pata nahi samundar hai
ya zaroori hai
mere paas ek dil tha
woh bhi tumne chura liya
oh mere paas ek dil tha
woh bhi tumne chura liya
yeh marziyon ka malik
kaise mana liya
oh mere paas ek dil tha
woh bhi tumne chura liya
ho ho ho…
ilzaam na tu laga
main chor nahi dil ki
mera hai khayal tu le khabar
ja aur kahin dil ki
ilzaam na tu laga
main chor nahi dil ki
mera hai khayal tu le khabar
ja aur kahin dil ki
ab dekh na tu aise
karke nazrein sawaliya
koyi aur hoga jisne
tera dil hai chura liya
yeh marziyon ka malik
kaise mana liya
oh mere paas ek dil tha
woh bhi tumne chura liya
mere paas ek dil tha
woh tumne chura liya
ho ho ho…
main ajnabee tu ajnabee
chalte hain wahan
milte hai jahan dil
duniya se laapata
chal nayi duniya mein jayein
dar lage toh muskurayein
khwab dekhe aur gaye bewajah
maine aaj khwab tera
pal mein apna bana liya
mere paas ek dil tha
woh bhi tumne chura liya
main marziyon ka malik
kaise mana liya
oh mere paas ek dil tha
woh bhi tumne chura liya
dheere dheere tu mere
armaan dil ka hua
ishq tera kyun mere
imaan dil ka hua
tu mila toh is dafa
sauda nazar se yun hua
aankhon ke ek kasoor mein
nuksaan dil ka hua
na dil bharke baatein ki thi
na phir milne ka waada tha
yeh kissa toh aadha tha