Singer | Nitin Mukesh, Shabbir Kumar & Sadhana Sargam |
Language | Hindi |
Album | Namak |
chanda bhi nazar aayega
suraj bhi nazar aayega
sab log nazar aayenge
par tu nazar nahi aayegi
par tu nazar nahi aayegi
o gudiya o behna o laado khush rehna
tu iss ghar ko chhod ke chal dee
humse mukhda mod ke chal dee
sab se rista chhod ke chal dee
pee se nata jod ke chal dee
o behna khush rehna behna
o gudiya o behna o laado khush rehna
ab yeh angana ho gaya suna
dard badha ab dil ka dugna
bheege bheege more naina
chal diya mere dil ka chaina
reh gaya tham ke dil bechara
ek anaath bhaiya tumhara
reh gaya tham ke dil bechara
ek anaath bhaiya tumhara
o gudiya o behna o laado khush rehna
maat peeta ki akhiya roye
wo bachpan ki sakhiya roye
galiya aur chaubare roye
tu jo chali to saare roye
main kitna azaad tha gham se
kya ronak thi tere dam se
main kitna azaad tha gham se
kya ronak thi tere dam se
ab to meri kaun sunega
bhaiya tere sapne bunega
ab to meri kaun sunega
bhaiya tere sapne bunega
behna khush rehna behna
o gudiya o behna o laado khush rehna
tujhko piya ke desh hai jana
na jaane phir kab ho aana
mehki mehki raat bhi aayi
dekh teri baarat bhi aayi
ek din yeh to hona hi tha
milke aakhir khona hi tha
ek din yeh to hona hi tha
milke aakhir khona hi tha
meri dua ka gehna le jaa
le jaa meri behna le jaa
meri dua ka gehna le jaa
le jaa meri behna le jaa
behna khush rehna behna
o gudiya o behna o laado khush rehna
tu iss ghar ko chhod ke chal dee
humse mukhda mod ke chal dee
sab se rista chhod ke chal dee
pee se nata jod ke chal dee
o behna khush rehna behna
o gudiya o behna o laado khush rehna
khush rehna khush rehna
khush rehna khush rehna
khush rehna khush rehna.