Singer | Shivam Pathak |
Genre | Happy |
Language | Hindi |
Album | Dhanak |
anjaan hawao ki
ghatao ki fizao ki
ye kesi sham hai
gham ke ye saye jo
hai chaye aur lehraye
ye unka kya…
anjam hai
hoo kisne dekha hai
kal tu ab sambhal
aur sunle kya kehta ye
pal….
kehta hai aaj tu kar aarzu
aur khud apni kismat ko
badal..
takdeer badal..
chal chalein
chal pade
ek nayi kahani
hum likhe
mil kar…
chal chalein
chal pade
iss raat ki bhi hogi ek
seher…
ye man mein khayal rey
sawal karta hai..
ho jab ye gaanth aur suraj
hamare..
dil ka jo saaz hai
awaz hai
andaz hai
hum usko
jaan le..
woh jo sunata hai
dohrata hai aur
gata hai hum usko
maan le…
hoo..duniya mein aaye hai
dil paye hai apni marzi se
kyu na jee le….
kese jhuk jaye hum
ruk jaye hum manzil ko tu
baki hai mile …
chal chalein
chal pade
ek nayi kahani
hum likhe
mil kar…
chal chalein
chal pade
iss raat ki bhi hogi ek
seher…
aao naye duniya main
aajao dekho ye
kitni haseen
yahan khushiyo ke andaz
nirale aangan aangan
yaha hasrat bhi dil khool ke dekho
nachee chan chan chan
ho..sath mile tera
to chamkegi fir kismat
hamari
hath thame tera..
to badalegi fir duniya
sari..
apne hatho se
kyu na likhe..
kyu na likhe..
apne dil ka hum fasana..
lakh roke ye zamana…
chal chalein
chal pade
ek nayi kahani
hum likhe
mil kar…
chal chalein
chal pade
iss raat ki bhi hogi ek
seher…
har nagar har dagar
har raste ke hum hai
humsafar…