Singer | Sonu Sood |
Language | Hindi |
maana ki ghani raat hai
is raat se ladne ke liye
poora bharat ek saath hai
teri koshish meri koshish rang layegi
maut ke is maidan mein zindgi jeet jayegi
fir usi bheed ka hissa hoge
bas sirf kuch hi dono ki baat hai
maana ki ghani raat hai
magar poora bharat ek saath hai
in unchi unchi imaaraton ki
chhoti chhoti khidkiyon mein sapne bade hai
filhaal sambhal jaan bacha
sadkon par tere mere rakhwale khade hai
fir khushiyon ka mausam aayega
pakka apna vishwas hai
maana ki ghani raat hai
is raat se ladne ke liye
poora bharat ek saath hai
maana ki ghani raat hai
koi maut se ladkar zindagi bacha raha hai
koi kachra uthakar bhi taali baja raha hai
koyi khud ki parwah kiye bina
apna farz nibha raha hai
insaniyat hai sabse pehle
na koi dharm na jaat hai
maana ghani raat hai
magar aaj poora bharat ek sath hai
jisne tera ghar sawara
aaj wo khud beghar hai
chal pada hai sadak naapne
chehre pe shikan man mein dar hai
aao khol de apne ghar ke darwaje
kahe kuch din bas yehi tera ghar hai
maana ghani raat hai
magar poora bharat ek sath hai