Language | Latest |
na jeene ki khushi
na maut ka gam
jab tak hai dum
mahadev ke bhakt rahenge hum
har har mahadev
jinke rom rom mein shiv hai
wahi vish peeya karte hai
jamana unhe kya jalayega
jo sringaar bhi
angaar se kiya karte hai
jai jai sambhu, shiv sambhu
shiv sambhu, shiv sambhu
dushmano ki goliyon se
hum mara nahi karte
bhole naath ke deewane hai
hum kisi se dara nahi karte
hum kisi se dara nahi karte
hum vanrshi hai guru
humpar bhole naath ka saya hai
hamare liye mahadev hi sabkuchh hai
baaki sab monh maaya hai
monh maaya hai
om tatpurshaya vignmahe
mahadevaya dhimahi
tantro roodra prachodayat
bol bol bol bol bam
bam bam bol bam
om namah shivaya
om namah shivaya…
om tryambakam yajamahe
sugandhim pustivardhanam
urvarukamiva bandhanan
mrtyor mukshiya mamrtat
har har mahadev shiv shambhu
kaashi vishvnaath gange
har har mahadev shiv shambhu
kaashi vishvnaath gange
garaj jaaye gagan saara
samandar chhode apna kinaara
hil jaaye jahan saara
jab gunje mahakaal ka naara
har har mahadev
akaal mirtyu wo mare
jo karam kare chandaal ka
are kaal bhi uska kya kare
jo bhakt ho mahakaal ka
har har mahadev