Singer | No |
Genre | Love |
Language | Hindi |
Album | Ek Villain |
jise zindagi dhoondh rahi hai
kya ye woh makaam mera hai
yahaan chain se bas ruk jaaun
kyun dil ye mujhe kehta hai
jazbaat naye se mile hain
jaane kya asar ye huaa hai
ik aas mili phir mujhko
jo qubool kisi ne kiya hai
haan kisi shayar ki ghazal
jo de rooh ko sukoon ke pal
koi mujhko
yun mila hai
jaise banjaara ko ghar
naye mausam ki sehar
ya sard mein dopahar
koi mujhko
yun mila hai
jaise banjaara ko ghar
hm…hm… aa..aa….
jaise koi kinara
deta ho sahara
mujhe woh mila
kisi mod par
koi raat ka taara
karta ho ujala
waise hi roshan kare
wo sehar
dard mere woh bhula hi gaya
kuch aisa asar hua
jeena mujhe phirse woh sikha raha
hm.. jaise baarish kar de tar
ya marham dard par
koi mujhko yun mila hai
jaise banjaara ko ghar
naye mausam ki sehar
ya sard mein dopahar
koi mujhko
yun mila hai
jaise banjaara ko ghar
muskaata yeh chehra
deta hai jo pehraa
jaane chhupata kya dil ka samandar
auron ko toh hardam
saaya deta hai
woh dhoop mein hai khada
khud magar
chot lagi hai usey phir kyun
mehsoos mujhe ho rahaa..
dil tu bata de kya hai iraada tera
hm.. main parinda besabar
tha uda jo darbadar
koi mujhko
yun mila hai
jaise banjaara ko ghar
naye mausam ki sehar
yaa sard mein dopahar
koi mujhko yun mila hai
jaise banjaara ko ghar
jaise banjaara ko ghar
jaise banjaara ko ghar
jaise banjaara ko ghar