Top Song Lyrics Find Here

baat meri suniye to zara

baat meri suniye to zara lyrics

Poster baat meri suniye to zara

baat meri suniye to zara

lyrics/Album : Kuch Naa Kaho
Details
Singer Mahalakshmi Iyer & Shankar Mahadevan
Genre Dance
Language Hindi
Album Kuch Naa Kaho
Poster baat meri suniye to zara
play
Lyrics

baat meri suniye to zara

baat meri suniye to zara

meri baat sunke

bataiye ke iske bare

mein hai aap ka khayal kya

itna kyon guroor aap mein hai

itna aap mein hai naaz kisliye

bataiye hai kisne

yeh sikhaya aapko

ke jo bhi tumko chahe

jo bhi tum ko pyaar se

mile usi se tum raho khafa khafa


baat meri suniye to zara

aise hum nahi hai lekin

hum agar ho aise bhi to

issmein kya hua

kyon na ho guror humko

kyon na hum ko naaz ho ke

hum haseen logo ki hi

thokaro mein hai zamana

jisko dekhiye humara hai deewana

hum kisi ka bhi dil tod de

kisko aadhe raste mein chod de

to usko bhi duniya kehti hai ada

hey hey hey aap ko jawab mil gaya

ho ho ho kahiye kaisa aap ko laga


baat meri suniye to zara

aaj sunhi lijiye ke

kya hai husn aapka

kya hai aap ki ada

aap ke har ek sitam

ko humne hi ada kaha

aur aap ki har ek ada

ko haske humne hi saha

humne hi to zara si baat

ko bada ke daastan kar diya

humne hi to husn ki zameen

ko aasmaan kar diya hai

duniya mein jo aap ka

yeh husn bemisal hai

to is mein bhi hamare

ishq ka hi to kamal hai

agar humhi na hote

isko kaun poochta

aapko agar khayal hai

aapko agar khayal hai

ki hum husn jo mila

hai aapne diya hai

yani jo bhi hai kamal

aapne kiya hai

to yeh baat saaf hai ki humko

dekhte hi aapko nasha sa ho

gaya hai sara hosh kho gaya hai

warna aisi ulti sidhi behki

behki baato ki waje hai kya


nahin samaj mein aayi

meri baat to nahin sahin

jo aap apne husn

par guror karte hai

to kariyen par na bhool jayega

hum ne hi to khoon e dil diya

jisse rop mein yeh

rang aa gaya hai

aap ka yeh husn duniya

bhar pe cha gaya hai

ho jadoo ban ke hum

nigaho par cha gaye

dilo mein jo samagaye hai

to hairat ismein kya hai

chehra phool hot kaliyan

aur zulfein hai andhera

aisa jo mehak raha hai

humne hi to aap ke in hoto

ko gulab aur chehre ko

kamal kaha hai hum ne hi to

aapki nazar ko jadoo baton

ko ghazal kaha hai hum ne hi

zulf ko kabhi kaha hai raat

aur kabhi ghata agar humi na

dekhte na chahate na poochte

to patharo ke booth ko

kaun kehta phir kudha

baat meri suniye to zara

chodiye bhi kehne aur

sunne ko hai baki kya

dekhiye main keh rahi hoon

baat meri suniye to zara

aap kya kahengi mujhko

khoob hai pata

are baat meri suniye to zara

phir milenge agar waqt

agar mila par baat meri.


You May Also Like (Similar)

Advertisement
Find Song Lyrics
Note: From this website you will get free lyrics facility. The files are not hosted by us.
Rules: videos/lyrics will be for personal use only / you cannot redistribute them / delete them from hard disk after 24 hours (if you do not agree, close this window)
Evergreen Hindi, Bhojpuri Song Lyrics