Singer | Emiway |
Language | Hindi |
pucha sawal maine khud se
haan kitne baar kya sab sahi kar raha hu
jo hona hai woh hokar rahega
to phir kahe ko dar raha hu
dheere dheere zimmedaari aane lagi
to maine dekh ki ab toh
main khud se sudhar ra hu
dosti yaari mazemaari mein chadhne laga tha
ab main utar raha hu
badalna hai sab kuch
yeh thaan liya tha haan maine sach much
jo vi kehte the kya tu kamayega
ye sab tu karke aaja beta ab puch
ab puch, ab puch…
haan ab puchh mujhe main bolun ye shuruaat hai
gaana record ho rela hai aur hora raat hai
sab sale soche ye kaise likh para hai
itni sari baatein mujhe kaafi daate gharwale
uske bina hum ye kabhi nahi kar paate
diss game mein mar dalte sab log ko tadpaake
studio mein kaafi din kaam kiya
maza aara ghar aake
kar aankhein upar aaj ghum raha car mein
pehle leke scooter aas paas bohat shooter
udta kabutar ha maje liya maine bina fame ke vi
laguri se leke sap seedhi ludo game ke bhi
pehan ke bhi ghuma hu main shaktiman ke kapde
bachpan se ultar tha pagal se ladke pe bhadke
kuch log kyunki ladka ye khud ladke
baate kar ra chad ke
upar toh sab sadke reh gaye
hum toh bas keh gaye baaki sab beh gaye
laalach mein paise ke kagaz mein
magaz mein lalach na kabhi ghoosne diya
mehnat kiya maine jam ke aur
mujhe beta usne diya chappar faad ke
ab puch, ab puch…
koi ni puche jab tak uche na ho jao zindagi mein
kuch hai bas daulat hai fasele gandagi mein
aise soch waale
khud ko pehle sahi jagah pe pahucha le
dimaag inka sauchalay aisha soch socha nhi main
sabka bhala socha haan aage badha tabhi main
abhi main waha pe ni jaha pe tha pehle
aayle sab yahan pe akele ko jayege akele
thakele na banke jeena
hath pair hai khoon paseena
baha ke lado taqleefo se
jaga ke dekho kitne log taqleefo ke bhi
wo sapno ke or daude
killa rakhe thokte ha tod de
izzat nahi kamaayega to nahi denge yeh
kay ko fode kay ko tode kisko kaye ko nichode
aisa koyi aayega kya jo insaano ko jode
mauka chode tab jaake dimaag daude
aise kitne log hai jo jaag kar bhi so rahe
uth jao
ab puch, ab puch…
insaan ke ankh mein khauf dekha
sach dekh ke karta andekha
sabne baith ke fun dekh apni bhalai pe
mann behka hai sabka
duniya khatam kabka ho chuka hai
log nahi sunre rab ka
sabko apni padi hai kon kisko dera fatka
sirf maje laine mein bhatka
zindagi mein hai atka
dimaag mein kachra bhara hai
lagale jhaadu katka kyun fokat ka
khane ki aadat hai insaan pe laanat hai
galat hote dkehne ki inki aadat hai
yahan soch bohat choti aur lambe imaarat hai
kale paise ko gora karne ko rakhte daawat hai
khulke baat karo mann ki baat
yahan beta sabko izjat hai, khulke bol!
ab puch ab puch…
pucha sawal maine khud se
haan kitne baar kya sab sahi kar raha hu
jo hona hai woh hokar rahega
to phir kahe ko dar raha hu
dheere dheere zimmedaari aane lagi
to maine dekh ki ab toh
main khud se sudhar ra hu
dosti yaari mazemaari mein chadhne laga tha
ab main utar raha hu
badalna hai sab kuch
yeh thaan liya tha haan maine sach much
jo vi kehte the kya tu kamayega
ye sab tu karke aaja beta ab puch
ab puch, ab puch…
emiway bantai!
maloom hai na!
ha ha ha
peace out!